Agni parmeshwar ka bhi ek naam hai, Agni ek dahan kriya ke roop me kaam aane wala bhoutik tatv bhi hai aur Agni ko Devtao ka Mukh bhi kaha gya hai | Yaha par ham jis Agni ki baat kar rhe hai vah devtao ke mukh wali Agni hai | Yah Agni samay samay par apna sthan badalti rahti hai kabhi iska vaas Pataal Lok me hota hai, kabhi Akash me hota hai to kabhi Prathivi par hota hai | Jab bhi ham Yagya ya Havan karte hai tab iska vaas yadi Prathivi par ho to Yagya ya Havan ka poorn laabh prapt hota hai | Isiliye yah jaruri ho jata hai ki Agni ka vaas jab prathivi par ho tab hi ham Havan ya Yagya karen | Ab aap kaise janege ki Agni ka Vaas Prathivi par hai |
Hindi mahine me ek maas me do paksh hote hai ek paksh Krishan Paksh kahlata hai aur doosra Paksh, Shukl Paksh kahlata hai | Yah dono 15 -15 din ke hote hai | Is prakar 30 din ka ek mahina poora hota hai | Jis Paksh me Amavashya aati hai use Krishan Paksh kahte hai aur jis Paksh me Poornima aati hai use Shukl Paksh kahte hai | Agni ke vaas ko janane ke liye in Paksho ko jaan lena bahut jaruri hai |
Ab yadi Krishan Paksh chal raha hai aur prtipada yani pahli tithi hai aur us din Somvaar ka din hai, tab tithi me vaar ki sankhya jod dete haii vaar Ravivar se suru hota hai jiski sankhya 1 mani jati hai aur Sanivar par samapt hota hai jiski sankhya 7 mani jati hai , Prtipada tithi me jab Somvar ka vaar yani 2 ank jode gye to 1+2 =3 aata hai | Ab jo jod ata hai use 4 se bhaag kiya jata hai | Sankhya 3 ko bhi yadi 4 se bhaag karte hai tab yah poora bhag nhi jata tab 3 hi shesh bachaa rahta hai | Ab yadi 4 se bhaag karne par ya to 3 shesh bache ya 0 (zero) bache tab agni ka vaas prathivi par hota hai | Atah is din jo ham ganana kar rhe hai is din Agni ka vaas hai |
Isse agle din dekhte hai dwitiya tithi hai aur Mangalvaar hai to 2 + 3 = 5 ab ise sankhya 5 ko 4 se bhag karne par 1 shesh bachta hai to is din Agni ka vaas prathivi par nhi hai |
Isse agle din dekhte hai tritiya tithi hai aur Budhvaar hai, tab tithi me vaar jodne par 3 +4 = 7 aata hai | Ab is sankhya 7 ko 4 se bhaag dene par shesh 3 bachata hai | Is arth hai is din Agni ka vaas prathivi par hai |
Isse agle din dekhte hai chaturthi tithi hai aur vaar Brahspati vaar hai , tithi me vaar jodne par 4 + 5 = 9 aata hai | Ab is sankhya 9 ko 4 se bhaag dene par shesh 1 bachata hai iska arth hai is din Agni ka vaas prathivi par nhi hai |
Ek baat ka dhyan rakhe ki Krishan Paksh ki koi bhi tithi me vaar ka ank jodne par aur 4 se bhaag karne par 3 ya 0(zero) shesh bache to Agni ka vaas Prathivi par hota hai |
Shukl Paksh me Agni ka Vaas :
Shukl Paksh me Agni ka vaas jaanne ke liye tithi me vaar ka ank jod dete hai aur usme 1 ank aur jod dete hai | Uske baad 4 se bhag karte hai , Fir vahi pahli vali vidhi 3 ya 0 shesh bachate hai to Agni ka vaas Prathivi par hota hai | Udahran ke liye : Pratipada tithi aur vahi Somvaar hai jo ham Krishan paksh me dekh rhe the ab yaha dekhiye Jodkar 1 + 2 ab isme 1 ka ank aur jodte hai ab iska jod 4 ho jata hai | Ab ise 4 se bhaag karte hai tab 0 shesh bachata hai | Iska arth hua is din Agni ka vaas Prathivi par hai |
Ab isse agle din dekhe : Dwitiya tithi hai Mangalvaar hai is din Agni ka vaas janane ke liye tithi me vaar joda aur 1 aur jod diya tab 2 + 3 + 1 = 6 isko 4 se bhaag karne par 2 shesh bachata hai | Yani is din Agni ka vaas Prathivi par nhi hai kyonki Agni ka vaas Prathivi par hone ke 3 aur 0 shesh ka bachna jaruri hai |
Ab isse agle din dekhe : Tritiya tithi hai aur Budhvaar hai tab isme 1 jod dete hai tab 3 + 4 + 1 = 8 ab ise 4 se bhaag karne par 0 shesh bachata hai to jaan le Shukl Paksh ke is din Tritiya tithi ko Agni ka vaas Prathivi par hai |
अब सारे गृह दोष एक साथ होंगे दूर | इस आसान और प्रभावी टोटके से ||
Is prakar aap sabhi tithiyo ki gananaa karke Agni ke vaas ko saralata se jaan sakte hai | Yah Jankari aapke liye laabhprad hai | For Video Click Here : मंत्र सिद्धि के हवन में , कैसे जाने अग्नि का वास !
Thanks